haj ka safar hai is men koi saath bhi to ho
parda-nashin se apni mulaqat bhi to ho
kab se tahal rahe hain gareban khol kar
khali ghata ko kya karen barsat bhi to ho
din hai ki dhal nahin raha is reg-zar men
manzil bhale na aae kahin raat bhi to ho
majmua chhapne to chale ho miyan magar
ashar men tumhare koi baat bhi to ho