apni lau men koi Duuba hi nahin
chand ehsas ka ubhra hi nahin
koi aahaT na koi naqsh-e-qadam
jaise dil se koi guzra hi nahin
chuur a.ina-e-ayyam bhi hai
mera maazi mira farda hi nahin
dars main bhi huun zamane ke liye
ek ibrat-gah-e-duniya hi nahin
kitni sadiyon pe rukega ja kar
ek lamha ki jo biita hi nahin
kitna hairan hai dahan-e-tasvir
aks avaz ka utra hi nahin
main bhi tha shahr-e-suḳhan ka me.aar
mere naqqad ne parkha hi nahin
yuun chamakti hai ‘samad’ kahkashan
jaise taara koi TuuTa hi nahin
Leave a Reply