karoge yaad to har baat yaad aaegi
guzarte vaqt ki har mauj thahar jaegi
ye chand biite zamanon ka aaina hoga
bhatakte abr men chehra koi bana hoga
udaas raah hai koi dastan sunaegi
karoge yaad to har baat yaad aaegi
barasta bhigta mausam dhuan dhuan hoga
pighalti shama pe chehra koi guman hoga
hatheliyon ki hina yaad kuchh dilaegi
karoge yaad to har baat yaad aaegi
gali ke mod pe suuna sa koi darvaza
tarasti aankh men rasta kisi ka dekhega
nigah duur talak ja ke laut aaegi
karoge yaad to har baat yaad aaegi
Leave a Reply