• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aaraish-E-Khayal Bhi Ho dil-Kusha Bhi Ho

Aaraish-E-Khayal Bhi Ho dil-Kusha Bhi Ho

nasir-kazmi

araish-e-khayal bhi ho dil-kusha bhi ho

vo dard ab kahan jise ji chahta bhi ho

ye kya ki roz ek sa gham ek si umiid

is ranj-e-be-khumar ki ab intiha bhi ho

ye kya ki ek taur se guzre tamam umr

ji chahta hai ab koi tere siva bhi ho

tuute kabhi to khvab-e-shab-o-roz ka tilism

itne hujum men koi chehra naya bhi ho

divangi-e-shauq ko ye dhun hai in dinon

ghar bhi ho aur be-dar-o-divar sa bhi ho

juz dil koi makan nahin dahr men jahan

rahzan ka khauf bhi na rahe dar khula bhi ho

har zarra ek mahmil-e-ibrat hai dasht ka

lekin kise dikhaun koi dekhta bhi ho

har shai pukarti hai pas-e-parda-e-sukut

lekin kise sunaun koi ham-nava bhi ho

fursat men sun shaguftagi-e-ghunche ki sada

ye vo sukhan nahin jo kisi ne kaha bhi ho

baitha hai ek shakhs mire paas der se

koi bhala sa ho to hamen dekhta bhi ho

bazm-e-sukhan bhi ho sukhan-e-garm ke liye

taus bolta ho to jangal hara bhi ho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Bedam Shah Warsi

Ye Khusrawi-O-Shaukat-e-Shahana Mubarak

poet

dost Jab dil Sa Aashna Hi Nahin

firaq-gorakhpuri

Pate Jaana Hai Aur Na Khote Jaana

Agar KHuda Na Kare Sach Ye KHwab Ho Jae

Ek Lahraati Hui Naddi Ka Sahil Hua Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet