
Akhtar Bastavi
markuz kis liye hai tumhari nazar bhala
ashuftagan-e-dil ke darida libas par
dekho to ahal-e-hikmat-o-danish ka iztirab
tasḳhir-e-kaenat ki nakam aas par
sahra ki tishnagi ke nazare men kyon ho gum
daalo zara nigah samundar ki pyaas par

Leave a Reply