ham se hi raushan raha hai tere maiḳhane ka naam
ham hi le sakte nahin ab ek paimane ka naam
zinat-e-sad-anjuman hai aap ki maujudgi
hai qayamat aap ke mahfil se uTh jaane ka naam
dil ke bahlane pe duniya ne kiye hain vo suluk
ab na lenge bhuul kar bhi dil ko bahlane ka naam
raat ki ra.ana.iyan hain zulf-e-barham ke tufail
sub.h-e-sadiq aap ke aariz sanvar jaane ka naam
dar-haqiqat zindagi kya hai ye ham se puchhiye
maut se ankhen mila kar zahr pi jaane ka naam
toḌ kar is zindagi ke ḳhud-tarashida sanam
ham ne ka.aba rakh liya hai dil ke but-ḳhane ka naam
chappe-chappe par junun ne kar diye raushan charagh
varna ‘sha.ir’ janta tha kaun virane ka naam
Leave a Reply