• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Nazar Uski Aan Padti Hai

Jab Nazar Uski Aan Padti Hai

sauda-mohammad-rafi

jab nazar us ki aan padti hai

zindagi tab dhiyan padti hai

jhel lete hain ashiq ai farhad

jis ke sar jaisi aan padti hai

hai jafa se gharaz use itni

ki vafa imtihan padti hai

nazar un mah-vishan ki hai zalim

kya ghazab an-ban padti hai

qadd-e-zahid nazar men chille baad

utri si kuchh kaman padti hai

baat is dil ke dard ki yaaro

guftugu men nidan padti hai

ek ke munh se jis ghadi nikli

phir to sau ki zaban padti hai

lekin itna koi kahe mujh se

kabhu us ke bhi kaan padti hai

be-sabati zamane ki na-char

karni mujh ko bayan padti hai

garm-joshi-e-dostan ba-nazar

atish-e-karvan padti hai

dil se puchha ye main ki ishq ki raah

kis taraf mehrban padti hai

kaha un ne ki ne ba-hindustan

ne su-e-asfhan padti hai

ye do-raha jo kufr o diin ka hai

donon ke darmiyan padti hai

manzilat sher ki tire ‘sauda’

yuun ba-vahm-o-guman padti hai

nahin ‘isa’ tu par sukhan se tire

tan-e-be-jan men jaan padti hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aankhon Ke Zawiye Bhi Wahin Par jaDe Rahe

abhishek-shukla

Paikar-e-Nur Mein dhalta Hi Chala Jata Hun

Wasl Ki Raat Ajab Hijr Manata Hua Main

Ghar Se Hum Ghar Talak Gae Honge

Jo KHwab Mere Nahin the Main Un Ko Dekhta Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet