qayam-o-naql aja.ib ke tarjuman to nahin
amal har ek musalsal hai na-gahan to nahin
ye markaze ki hararat kashish ka baa.is hai
jo ho vo sard to phir ye zamin bhi maan to nahin
muhit charon-taraf se hai ik ḳhala-e-basit
zamin ye apni faqat zer-e-asman to nahin
hava uḌaa.e unhen aur kahin bhi le jaa.e
ye Tiile ret ke pakki nishaniyan to nahin
hava ke paas amanat hain sab sada-o-aks
abhi giraft se bahar hain par nihan to nahin
Leave a Reply