achchhe lafzon se navaze ya vo rusva.i kare
us ko haq hai ki bura.i kare achchha.i kare
pyaar to soch ki divar hila deta hai
kaun is zehn ke dushman se shanasa.i kare
haath se haath jhaTak de ki use thame rakhe
us ko azadi hai jab chahe vo ji aa.i kare
kya ḳhabar ḳhud ko hi ab bechna paḌ jaa.e yahan
kis ko ma.alum sitam kaise ye mahnga.i kare
karb zanjir ki manind jakaḌ leta hai
bhaa.i ko sahna hi paḌta hai agar bhaa.i kare
main ne zehnon se qadamat ko khurach Daala he
shahr ka shahr mire dar pe jabin-sa.i kare
pyaar ruhon men kashish ban ki dhaḌakta hai ‘niyaz’
ye vo jazba hai jo pal-bhar men shanasa.i kare
Leave a Reply