dil jo aina sa nahin hota
yaar jalva-numa nahin hota
sabr kar sabr ai dil-e-mahzun
is mohabbat men kya nahin hota
go nasim-e-sahar hai aah miri
ghuncha-e-dil to va nahin hota
murgh-e-bismil sa kyuun na main tadpun
dard rahat-faza nahin hota
kyuun karun ja ke main use sajda
but-e-kafir khuda nahin hota
hota nam-o-nishan ka gar talib
main tira naqsh-e-pa nahin hota
kyuun dil aata tumhare dar pe sanam
garche shauq-e-laqa nahin hota
ishq hota nahin to pesh-e-nazar
jalva-e-haq-numa nahin hota
sar katane se ho gai rahat
ishq ka ye maza nahin hota
mujh se dar-parda hai tujhe ulfat
mujh ko ye hausla nahin hota
dil ko kyuun kar ‘jamila’ main phenkun
kisi surat juda nahin hota
Leave a Reply