mira batin mujhe har pal na.i duniya dikhata hai
kisi nadida manzil ka koi rasta dikhata hai
ḳhuda bhi zindagi deta hai bas ik raat ki ham ko
isi ik raat men lekin ḳhuda kya kya dikhata hai
zara tum des ke is rahnuma ke kaam to dekho
shajar ko kaTta hai ḳhvab saa.e ka dikhata hai
bahut si ḳhubiyan hain aa.ine men manta huun main
magar ik aib hai kam-baḳht men chehra dikhata hai
is ashob-e-zamana ke liye main kya kahun ‘taimur’
ki har bikhra hua ḳhud ko yahan simTa dikhata hai
Leave a Reply