Ja Na Tu Hasrat-E-Didar Abhi Baqi Hai

jā na tū hasrat-e-dīdār abhī baaqī hai

ik ramaq mujh meñ dam-e-yār abhī baaqī hai

kyuuñ na dekhūñ unheñ nazroñ se ḳharīdār kī maiñ

husn kī garmī-e-bāzār abhī baaqī hai

sab hue hasrat-o-armāñ to shab-e-ġham meñ shahīd

rah gayā ik ye gunahgār abhī baaqī hai

mil ke bhī mujh se khaTakte rahe har baat pe vo

ḳhaar niklā ḳhalish-e-ḳhār abhī baaqī hai

uTh ke ‘tanvīr’ ke pahlū se na jaanā ghar ko

dopahar raat sitamgār abhī baaqī hai

Leave a Comment