mahtab nahin nikla sitare nahin nikle
dete jo shab-e-gham men sahare nahin nikle
kal raat nihatta koi deta tha sada.en
ham ghar se magar ḳhauf ke maare nahin nikle
kya chhoḌ ke basti ko gaya tu ki tire ba.ad
phir ghar se tire hijr ke maare nahin nikle
baiThe raho kuchh der abhi aur muqabil
arman abhi dil ke hamare nahin nikle
nikli to hain saj-dhaj ke tiri yaad ki pariyan
ḳhvabon ke magar raaj dulare nahin nikle
kab ahl-e-vafa jaan ki baazi nahin haare
kab ishq men janon ke ḳhasare nahin nikle
andaz koi Dubne ke sikhe to ham se
ham Duub ke dariya ke kinare nahin nikle
vo log ki the jin pe bharose hamen kya kya
dekha to vahi log hamare nahin nikle
ash.ar men daftar hai ma.ani ka bhi ‘rahbar’
ham lafzon hi ke mahz sahare nahin nikle
Leave a Reply