jhijak iz.har-e-arman ki ba-asani nahin jaati
ḳhud apne shauq ki dil se pashemani nahin jaati
taḌap shishe ke TukḌe bhi uḌa lete hain hiire ki
mohabbat ki nazar jaldi se pahchani nahin jaati
ufuq par nuur rah jaata hai suraj Dubne par bhi
ki dil bujh kar bhi nazron ki daraḳhshani nahin jaati
su-e-dil aa ke ab chashm-e-karam bhi kya bana legi
shua-e-mehr se sahra ki virani nahin jaati
ye bazm-e-dair-o-kaba hai nahin kuchh sehn-e-mai-ḳhana
zara avaz gunji aur pahchani nahin jaati
kisi ke lutf-e-be-payan ne kuchh yuun su-e-dil dekha
ki ab na-karda jurmon ki pashemani nahin jaati
taghaful par na ja us ke taghaful ek dhoka hai
nigah-e-dost ki tahrik-e-pinhani nahin jaati
nazar jhuTi shabab andha vo husn ik naqsh-e-fani hai
haqiqat hai to ho lekin abhi maani nahin jaati
mayassar hai har ik iman men mujh ko zauq ka sajda
koi maz.hab bhi ho buniyad-e-insani nahin jaati
nazar jis ki taraf kar ke nigahen pher lete ho
qayamat tak phir us dil ki pareshani nahin jaati
na samjho zabt-e-girya se ḳhata par main nahin nadim
ki aansu ponchh lene se pashemani nahin jaati
na ponchho tajrabat-e-zindagani choT lagti hai
nazar ab dost aur dushman ki pahchani nahin jaati
zamana karvaTon par karvaTen leta hai aur ‘mulla’
tiri ab tak vo ḳhvab-avar ghazal-ḳhvani nahin jaati
Leave a Reply