shahr-dar-shahr, qarya-dar-qarya
sal-ha-sal se bhatakta huun
bar-ha yuun hua ki ye duniya
mujh ko aisi dikhai di jaise
subh ki zau se phuul khilta ho
bar-ha yuun hua ki raushan chand
yuun laga jaise ek andha kuaan
ya koi gahra zakhm rista hua
main bahar-kaif phir bhi zinda huun
aur kal sochta raha pahron
mujh ko aisi kabhi lagan to na thi
har jagah teri yaad kyuun aaii?
Leave a Reply