zaban se dil ka fasana ada kiya na gaya
ye tarjuman to bani thi magar bana na gaya
ham un ke va.ada-e-farda ko le ke baiThe hain
ki jin se aaj ka va.ada vafa kiya na gaya
amanatan mire siine men vo fasana hai
jo dil ki aankh se dekha gaya suna na gaya
dam-e-aḳhir vo dene lage hayat-e-digar
phir ek umr ka ehsan tha liya na gaya
qusur-var hain donon nigah ho ki zaban
ki jo kaha gaya ai dost vo kaha na gaya
Leave a Reply