
Ahmad Ali Barqi Azmi
dar-ba-dar phirta tha jab-tab tujhe abad kiya
kya bigada tha tira kyuun mujhe barbad kiya
jis tarah karta hai tu khun-e-tamanna mera
kya kabhi main ne bhi aise tujhe nashad kiya
zakhm jo tu ne diye the hain abhi tak taaza
jab chali sard hava main ne tujhe yaad kiya
is se behtar tha ki tu qaid hi rakhta mujh ko
par katar kar mira kyuun baagh men azad kiya
zindagi khel nahin hai jise bachchon ki tarah
kabhi abad kiya aur kabhi barbad kiya
zeb deta hai tujhe mufsid-e-dauran ka khitab
narava tha jo vo kyuun ai sitam-ijad kiya
baghban jis ko banaya tha usi ne ‘barqi’
sahn-e-gulshan men bapa nala-o-fariyad kiya

Leave a Reply