saaya jis ka nazar aata hai mujhe
vo bhi saaya nazar aata hai mujhe
vo jo hota hi chala jaata hai
kuchh na hoga nazar aata hai mujhe
chaaT jaati hai nazaron ko nazar
kya kahun kya nazar aata hai mujhe
aa.ina phand gaya josh-e-junun
bilkul aisa nazar aata hai mujhe
har likha ḳhama-e-dana.i ka
aaj ulTa nazar aata hai mujhe
kya ghazab hai ki mara asl vajud
aks mera nazar aata hai mujhe
kya qayamat hai ki jaata hua vaqt
idhar aata nazar aata hai mujhe
kahin ḳhushbu hai suna.i deti
kahen naghma nazar aata hai mujhe
biij bas apne shajar hone ka
ik irada nazar aata hai mujhe
be-musafir hai safar pesh-e-nazar
zehn goya nazar aata hai mujhe
har guman ek haqiqat hai ‘muhib’
sach-much aisa nazar aata hai mujhe
Leave a Reply