Har Har Waraq Pe Kyun Ki Likhun dastan-E-Hijr

har har varaq pe kyuun ki likhun dastan-e-hijr

aata nahin zaban-e-qalam par bayan-e-hijr

zahir agarche taza-o-tar misl-e-lala huun

mujh dil men janashin hai dagh-e-nihan-e-hijr

pazhmurda kyuun na hoe gul-e-ummid-e-ashiqan

bahti hai dil ke baagh men bad-e-khizan-e-hijr

ab-e-hayat vasl siin de umr-e-javedan

hai be-qarar gham siin tire nim-jan-e-hijr

vo ashiqi ki misl men manzur hai mudam

chille main gham ke baith jo khincha kaman-e-hijr

niin sair-e-lala-zar ki ashiq kuun aarzu

az-bas hai dagh-e-sina gul-e-bostan-e-hijr

jaari ba-rah-e-chashm sati khun-e-dil ‘siraj’

jab siin mire jigar men lagi hai sinan-e-hijr

Leave a Comment