• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Buland Azm Ho Gaya Paron Mein Kat Aa Gai

Buland Azm Ho Gaya Paron Mein Kat Aa Gai

nusrat-mehdi

buland azm ho gaya paron men kaat aa gai

hava to aur taeron ki himmaten badha gai

khilega dil ka phuul bhi zara sa intizar kar

abhi ye jan-faza khabar saba mujhe suna gai

hisar-e-zat se pare jahan ek aur hai

mujhe ye vusat-e-nazar naya ufuq dikha gai

banae the jo aarzu ne sahilon pe baith kar

tamam ret ke vo ghar bas ek mauj dha gai

hamen to khauf tha yahi ki khaak kar na den kahin

lagi jo aag ishq ki to aina bana gai

parae anchalon men vo to chhanv dhundhta raha

idhar hava-e-be-rahm rida miri uda gai

chalo ki kal milenge phir ye qisse kal pe chhod do

zamin pe qumqume jale falak pe raat chha gai

jo ‘nusrat’ aaj kho gai udasiyon men do ghadi

guman sab ko ye hua ghamon se maat kha gai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Kitna Kamzor Hai Iman Pata Lagta Hai

Yahi Nahin Ki Mera Ghar Badalta Jata Hai

Zindagani Ko Adam-Abaad Le Jaane Laga

asrarul-haq-majaz

dhuan Sa Ek Samt Uth Raha Hai Sharare Ud Ud Ke Aa Rahe Hain

Dil Ko Tumhaare Ranj Ki Parwa Bahut Rahi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet