dil-e-divana ki bhule hi se ghar rahta hai
zikr kyuun us ka magar sham-o-sahar rahta hai
sinchte rahiye use ḳhun-e-jigar se aksar
be-samar varna tamanna ka shajar rahta hai
bistar-e-shab pe taḌapte hi guzar jaa.e magar
dast-e-ummid men daman-e-sahar rahta hai
zaḳhm lagte hi rahe ruh-o-badan par itne
nahin ma.alum ki ab dard kidhar rahta hai
dasht-e-ulfat men kaḌi dhuup ke sannaTe hain
abr-e-ḳhush-rang na saa.e ka guzar rahta hai
yuun hi par tolte rahna hai asiron ko yahan
qafas-e-shauq ka dar band agar rahta hai
dam-ba-dam aati hai avaz-e-jaras ki ‘rahi’
koi to mujh men hai jo mahv-e-safar rahta hai
Leave a Reply