jangal men hi aa pahunche hain jangal se nikal kar
khaa.i men gire hain kisi daldal se nikal kar
vo mausam-e-avargi-e-ab-o-hava hai
barsat yahan phirti hai badal se nikal kar
manzur hain kyon tum ko juda.i ke shab-o-roz
kyon jaate ho tum vasl ke is pal se nikal kar
ik peḌ na kaam aaya tah-e-atish-e-ḳhurshid
main raakh hua maan tire anchal se nikal kar
gaDDhe men paḌa sukhta Thahra hua paani
pachhta raha hai maujon ki halchal se nikal kar
ankhon men umaD aa.i jab idrak ki barish
main sair hua ghaflaton ke thal se nikal kar
Leave a Reply