asman ek kinare se utha sakti huun
yaani taqdir sitare se utha sakti huun
apne paanv pe khadi huun tujhe kya lagta tha
khud ko bas tere sahare se utha sakti huun
ankhen mushtaq hazaron hain magar soch ke rakh
teri tasvir nazare se utha sakti huun
raakh ho jaae mohabbat ki haveli pal men
ik tabahi main sharare se utha sakti huun
main agar chahun to jiine ki ijazat de kar
zindagi tujh ko khasare se utha sakti huun
ism padhne ka irada ho to fursat men ‘sahar’
main tujhe dil ke shumare se utha sakti huun
Leave a Reply