ai dil na aqida hai dava par na dua par
kam-baḳht tujhe chhoḌ diya ham ne ḳhuda par
is tarah suni ishq men naseh ki har ik baat
parhez kya karte hain jis tarah dava par
ab tak to kabhi be-mai-o-ma.ashuq na guzri
a.inda raza-mand huun malik ki raza par
itne to gunahgar hain badnam-e-mohabbat
ankhen to mali hain tire naqsh-e-kaf-e-pa par
dil lene ke andaz ka kuchh naam nahin hai
mauquf hai ye chiiz ada par na haya par
allah mujhe kam se kam itna to bana de
ek ek to dil duun tiri ek ek ada par
dekhen tire kuche ki zara ab-o-hava bhi
chalte hain jo paani pe jo uḌte hava par
aaj aap ko dekha magar ab tak to suna tha
qaa.il nahin hota kabhi insan ḳhata par
ma.alum nahin kaun si miTTi se bane hain
vo log jo ghash hain tire naqsh-e-kaf-e-pa par
ham apne ḳhayalat ki islah karenge
koshish to bahut ki hai bharosa hai ḳhuda par
hota huun tiri shan-e-karimi ke tasadduq
marne ke liye hote hain chyunTi ko ata par
ai dost faramosh ye hai haal hamara
amin kaha karte hain dushman ki dua par
kya aah se arman nikalte hain kisi ke
pul bandhte hain bandhne vaale to hava par
taklif hamesha dil-e-ḳhud-sar ne uTha.i
aa.i hain bala.en bahut us ek bala par
allah ne kya kya tire munh se na sunaya
ham shukr bhi karte hain shikayat ki bina par
taaka tha mujhe aur chhidda ghair ka siina
ai vaah nikale hain tire tiir ne kya par
ashiq huun to kya aap ki sohbat men raha huun
hansna hi paḌega mire rone ki ada par
vo kaun hain main kaun huun kya munh se nikalun
mansur ko suuli mili aisi hi ḳhata par
aise tire ashiq kabhi dekhe na sune the
pahre to biTha.e nahin naqsh-e-kaf-e-pa par
ushshaq se bhule kahin dekhe bhi hain tum ne
mar miTte hain ye log faqat nam-e-vafa par
tum se to safi’ ne faqat ik Dhong kiya hai
khata hai na piita hai to jiita hai hava par
Leave a Reply