
Sewak Nayyar
dil-e-betab ka payam liya
phir kisi ne mira salam liya
ruuTh kar ham se tu ne ai zalim
kis ḳhata ka hai intiqam liya
ho ke majbur josh-e-ulfat se
ham ne daman kisi ka thaam liya
phuul jhaḌne lage zaban se miri
jab kisi gul-badan ka naam liya
kaam aa.e na aql-o-hosh jahan
ham ne divangi se kaam liya
Dagmagate hue mire dil ko
us hasin ajnabi ne thaam liya
shiddat-e-ranj-o-gham men ai ‘nayyar’
ham ne jam-o-subu se kaam liya

Leave a Reply