arz-o-sama pe rang tha kaisa utar gaya
andhi chali to shaam ka chehra utar gaya
tufan ki zad na shor-e-talatum mujhe batao
main mauj men nahin huun ki dariya utar gaya
kya kya rahi kanar-e-mohabbat ki dhun mujhe
jin paniyon men us ne utara utar gaya
ik kashmakash men ab hain samundar paḌe hue
sahra ki tah men phir koi pyasa utar gaya
bikhra paḌa hai ḳhaak pe yuun chandni ka jism
jaise miri hi ruuh men tesha utar gaya
‘ja.afar’ kabhi na ye mere vahm-o-guman men tha
main aur us ke dhyan se aisa utar gaya
Leave a Reply