• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mere Sune ujDe Dayar Mein Kabhi Do ghaDi Hi Qayam Kar

Mere Sune ujDe Dayar Mein Kabhi Do ghaDi Hi Qayam Kar

mire suune ujḌe dayar men kabhi do ghaḌi hi qayam kar

ho jo dil to us men sukun le tira ji kare to ḳhiram kar

main tamam umr guzar duun jise sochte jise chahte

tu jo kar sake mire ham-nava to vo ek pal mire naam kar

mujhe apne dil ka vo raaz de jo ḳhushi se mujh ko navaz de

vo jo mujh men ruuh si phunk de kisi roz aisa kalam kar

miri dhaḌkanon ka ye silsila tire pyaar se hai ravan-davan

tu jo chahe is ko davam de jo nahin to is ko tamam kar

sar-e-sham mujh se tu mil vahan jahan ujlaton ka na ho nishan

kahin duur tak yuun hi saath chal mira haath haath men thaam kar

tiri chahaton ka faqir huun mujhe qurbaton ki niyaz de

zara paas aa ke tu mil mujhe yunhi duur se na salam kar

koi kaam karna hai gar ‘zaki’ to ye kaam kar mire dosta

kahin nafraton ko na ja mile tu mohabbaton ko yuun aam kar

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aql Ke Jal Mein Phansi Hi Nahin

Faiz Aur Faiz Ka Gham Bhulne Wala Hai Kahin

Sufi

dekh Kar Baam-O-dar Ka Sannata

poet

Wan Jo Kuchh Kabe Mein Asrar Hai Allah Allah

naz-butt

Pure Chand Ki Raat Ka Jadu

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet