mire paanv men paael ki vahi jhankar zinda hai
mohabbat ki kahani men mira kirdar zinda hai
usi ke naam se har-vaqt mera dil dhadakta hai
main zinda is liye huun ki mira dildar zinda huun
jahan kal har qadam par muskurahat raqs karti thi
main khush huun aaj bhi vo raunaq-e-bazar zinda hai
yahan dekha hai main ne khud-suron ko khaak men milte
tira sar jhuk gaya lekin mira inkar zinda hai
musavvir ne to saari dilkashi tasvir men bhar di
rahega fan salamat jab talak fankar zinda hai
miri tahzib mere saath hai mahv-e-safar har-dam
mire afkar zinda hain mira izhar zinda hai
‘iram’ par dhuup ka ehsas ghalib aa nahin sakta
mire sar par abhi tak saya-e-divar zinda hai
Leave a Reply