jiite ji maut ke tum munh men na jaana hargiz
dosto dil na lagana na lagana hargiz
ishq bhi taak men baiTha hai nazar-bazon ki
dekhna sher se ankhen na laḌana hargiz
haath malne na hon piiri men agar hasrat se
to javani men na ye rog basana hargiz
jitne raste the tire ho ga.e viran ai ishq
aa ke viranon men ab ghar na basana hargiz
kuuch sab kar ga.e dilli se tire qadr-shanas
qadr yaan rah ke ab apni na ganvana hargiz
tazkira dehli-e-marhum ka ai dost na chheḌ
na suna ja.ega ham se ye fasana hargiz
DhunDta hai dil-e-shorida bahane mutrib
dard-angez ghazal koi na gaana hargiz
sohbaten agli musavvir hamen yaad a.engi
koi dilchasp muraqqa na dikhana hargiz
le ke daagh aa.ega siine pe bahut ai sayyah
dekh is shahr ke khanDaron men na jaana hargiz
chappe chappe pe hain yaan gauhar-e-yakta tah-e-ḳhak
dafn hoga kahin itna na ḳhazana hargiz
miT ga.e tere miTane ke nishan bhi ab to
ai falak is se ziyada na miTana hargiz
vo to bhule the hamen ham bhi unhen bhuul ga.e
aisa badla hai na badlega zamana hargiz
ham ko gar tu ne rulaya to rulaya ai charḳh
ham pe ghairon ko to zalim na hansana hargiz
aḳhiri daur men bhi tujh ko qasam hai saaqi
bhar ke ik jaam na pyason ko pilana hargiz
baḳht so.e hain bahut jaag ke ai daur-e-zaman
na abhi niind ke maton ko jagana hargiz
kabhi ai ilm o hunar ghar tha tumhara dilli
ham ko bhule ho to ghar bhuul na jaana hargiz
sha.iri mar chuki ab zinda na hogi yaaro
yaad kar kar ke use ji na kuḌhana hargiz
‘ghalib’ o ‘shefta’ o ‘nayyar’ o ‘azurda’ o ‘zauq’
ab dikha.ega ye shaklen na zamana hargiz
‘momin’ o ‘alvi’ o ‘sahba.i’ o ‘mamnun’ ke baad
sher ka naam na lega koi daana hargiz
kar diya mar ke yaganon ne yagana ham ko
varna yaan koi na tha ham men yagana hargiz
‘dagh’ o ‘majruh’ ko sun lo ki phir is gulshan men
na sunega koi bulbul ka tarana hargiz
raat aḳhir hui aur bazm hui zer-o-zabar
ab na dekhoge kabhi lutf-e-shabana hargiz
bazm-e-matam to nahin bazm-e-suḳhan hai ‘hali’
yaan munasib nahin ro ro ke rulana hargiz
Leave a Reply