agar sunani hai har qadam par na.i kahani to haar maani
fareb khate hue guzarni hai zindagani to haar maani
agar mohabbat tira ravayya hai phir paraya to baaz aaya
agar zamane tiri ravish hai vahi purani to haar maani
ham apna jivan ham apni ḳhushiyan ham apna sab kuchh luTa chuke hain
agar hai phir bhi hamari qismat men ra.igani to haar maani
samajh rahi hai agar mohabbat ko silsila ik himaqaton ka
samajh rahi hai jo ḳhud ko tu is qadar siyani to haar maani
nahin batana jo kis tanasub se jhuuT hai saari dastan men
nahin batana jo duudh kya aur kya hai paani to haar maani
suḳhan ki devi jo mehrban ho nahin rahi ‘iftiḳhar’ ‘haidar’
jo ruk rahi hai qalam ki qirtas par ravani to haar maani
Leave a Reply