Tha KHafa Mujhse Bad-Guman Bhi Tha

thā ḳhafā mujh se bad-gumān bhī thā

aur vahī mujh pe mehrbān bhī thā

jab sitāroñ kī zad meñ aa.ī maiñ

tab lagā sar pe āsmān bhī thā

phuul kitne khile the dil meñ magar

ik vahīñ zaḳhm kā nishān bhī thā

kis se kartī maiñ dhuup kā shikva

merā sūraj hī sā.ebān bhī thā

zabt-e-ehsās ham bhī kar leñge

is yaqīñ par ‘sabā’ gumān bhī thā

Leave a Comment