ye qaul aql ka hai mira faisla nahin
muhtaj ho subut ka ho vo ḳhuda nahin
kyuun raz-dar-e-dil pe bharosa kiya nahin
a.ina dekhta hai magar bolta nahin
raunde ga.e hain phuul bhi kanTon ke saath saath
gulshan men inqalab se koi bacha nahin
bahte nahin hain vaqt ki raftar dekh kar
ham ḳhud bure bane hain zamana bura nahin
gumrah kar ke chhoḌega ye shauq-e-rah-ravi
ham us taraf chale hain jidhar rasta nahin
hai jurm sach jo puchho to ye hai pate ki baat
un ka pata mila hai to apna pata nahin
Leave a Reply