khub-ru jo ek ka mahbub nahin
aise harjai se milna khuub nahin
choli nichi mat pahan ai jama-zeb
is men chhab takhti ka kuchh uslub nahin
main to talib dil se hunga diin ka
daulat-e-duniya mujhe matlub nahin
sabr kab tak hijr men tere karun
main tira ashiq huun kui ayyub nahin
yaar ki ‘taban’ zanakhdan ko na chaah
dekh kahta huun kuen men duub nahin
Leave a Reply