hamare saath ajab hi muamla hua hai
hava thahar si gai hai diya jala hua hai
usi maqam pe ik qafila ruka hua hai
jahan tumhara mira rasta juda hua hai
na jaane bad-e-saba kah gai hai kaan men kya
ki phuul shakh-e-burida pe bhi khila hua hai
mile ik umr ke baad aur is tarah se mile
vo chup hai aur hamara bhi sar jhuka hua hai
dayar-e-mahr ki sarhad talash karne ko
mah o nujum ka ik qafila chala hua hai
haqiqaten to atal hain badal nahin saktin
magar kisi ki tasalli se hausla hua hai
bajae do ke baje ek haath se taali
muamalat men aisa kabhi bhala hua hai
miri umiid ka hai teri aarzu ka hai
diya hai aur badi der se jala hua hai
umiid khil si gai hai mahak utha hai khayal
saba ki narm si dastak pe dil ko kya hua hai
mahak raha hai mire khaar khaar jivan men
vo lamha jo abhi mujh men gulab sa hua hai