vo jab aap se apna parda karen
to band-e-qaba kis tarah va karen
agar ham na un ki tamanna karen
to vo ham pe kyuun naaz beja karen
use log kyuun mehr-e-taban kahen
jise duur se bhi na dekha karen
kiya us ne qatl aur main ne muaaf
abas ahl-e-shahr us ka charcha karen
phire qais avara ham vo nahin
ki maashuq ko apni rusva karen
mire dard-e-dil ki hi pursish dava
agar mujh ko puchhen to achchha karen
khuda be-niyaz aur but sang-dil
kaho kis se ham raah paida karen
chalo phir kahen un se ham hal-e-dil
yahi phir kahenge ki ham kya karen
jinhen fasl-e-gul men na ho dastaras
ki saman-e-ishrat muhayya karen
vo qumri-o-bulbul ko mutrib banaen
gul-o-sarva ko jam-o-mina karen
unhen kya ho ‘nazim’ qayamat ka dar
jo har rose ik fitna barpa karen
Leave a Reply