• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Shama Ki Nazron Mein Saudai Hai Parwana Abhi

Shama Ki Nazron Mein Saudai Hai Parwana Abhi

sham.a ki nazron men sauda.i hai parvana abhi

soz-o-saz-e-ishq se hai husn begana abhi

astan-e-naz se duniya hai begana abhi

koi ka.aba DhunDta hai koi but-ḳhana abhi

kuchh bagulon aur kuchh zarron men hain sargoshiyan

dasht se guzra hai shayad koi divana abhi

us ne jazb-e-ishq ki tasir dekhi hi nahin

apne jalvon par hai nazan husn-e-janana abhi

kya hui teri nigah-e-mast ki sarmastiyan

hosh men baiTha hua hai tera divana abhi

tere zauq-e-did men rang-e-kalimana nahin

varna vo ḳhud chal ke aa.e be-hijabana abhi

aql-e-nadan ke tasarruf men hain lakhon gulistan

ishq ki qismat men ai ‘sabir’ hai virana abhi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sufi

Khile Phul Hor Mitha danan

ahmad-mahfuz

Chhodo Ab Us Charagh Ka Charcha Bahut Hua

Go Dur Ho Chuka Hun Yaran-E-Anjuman Se

Jab Tak Hum Hain Mumkin Hi Nahin Na-Mahram Mahram Ho Jaen

Raat Bhar TuTe Hue KHwab Ke Aazar Ke Sath

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet