ajab rang-e-tilism-o-tarz-e-nau hai
diya hai aag ka miTTi ki lau hai
mujhe sun lengi to dekhengi ankhen
miri avaz men suraj ki zau hai
rikab aur baag qaabu men nahin hain
ye asp-e-vaqt kitna tez-rau hai
miri tarif ke hain do havale
qadam aflak par muTThi men jau hai
nahin hai hurriyat ki koi qimat
magar pinjre ki qimat chaar sau hai
main kya hariyaliyon ki aas bandhun
zamin ke saath sapna bhi giro hai
‘tarir’ aansu hain aur dhundhlahaten hain
ye kaisi kahkashaon ki jilau hai
Leave a Reply