hamen pine-pilane ka maza ab tak nahin aaya
ki bazm-e-mai men koi parsa ab tak nahin aaya
sitam bhi lutf ho jaata hai bhole-pan ki baton se
tujhe ai jaan andaz-e-jafa ab tak nahin aaya
dam-e-akhir the balin pe jo aane ko vo aae bhi
to hans kar kah gae vaqt-e-dua ab tak nahin aaya
sahar hote bujhae kaun ai sham-e-lahad tujh ko
koi jhonka nasim-e-subh ka ab tak nahin aaya
khuda jaane hua kya kucha-e-janan men dil ja kar
mira bhula hua bhatka hua ab tak nahin aaya
gaya tha kah ke ye qasid ki ulte paanv aata huun
kahan kambakht ja kar mar raha ab tak nahin aaya
jise tum koste ho umr us ki aur badhti hai
tumhen sab kuchh to aaya kosna ab tak nahin aaya
sitam karna dagha karna ki vaade ka vafa karna
batao kya tumhen aaya hai kya ab tak nahin aaya
kisi ne koi dushman men chhupa daala mita daala
gali to aai un ka naqsh-e-pa ab tak nahin aaya
ye kya insaf hai sayyad chhode qaid se mujh ko
ki aisa koi murgh-e-khush-nava ab tak nahin aaya
bata den aa gaya kya tum ko is uthti javani men
bata den kaan men chupke se kya ab tak nahin aaya
butan-e-naznin jab dekhte hain mujh se kahte hain
tumhari jaan par qahr-e-khuda ab tak nahin aaya
kiya hasrat se rukhsat subh ke taron ko ye kah
ki jis ka shaam se tha aasra ab tak nahin aaya
ye ghaflat hai ki mahshar men bhi ankhen band hain meri
samajhta huun yahi roz-e-jaza ab tak nahin aaya
na phuti koi kopal tak miri shakh-e-nasheman men
khizan ke baad mausam dusra ab tak nahin aaya
diya ho to diya ho kuchh payam-e-shauq ankhon ne
mire lab par to harf-e-muddaa ab tak nahin aaya
is ubhre ubhre joban par yunhi vo baithe rah jaate
unhen uthti javani ka maza ab tak nahin aaya
vo din aae mire sarkar ahl-e-bazm se puchhen
kahan hai kyuun ‘riyaz’-e-khush-nava ab tak nahin aaya
Leave a Reply