har be-zaban ko shoala-nava kah liya karo
yaaro sukut hi ko sada kah liya karo
khud ko fareb do ki na ho talkh zindagi
har sang-dil ko jan-e-vafa kah liya karo
gar chahte ho khush rahen kuchh bandagan-e-khas
jitne sanam hain un ko khuda kah liya karo
yaaro ye daur zoaf-e-basarat ka daur hai
andhi uthe to us ko ghata kah liya karo
insan ka agar qad-o-qamat na badh sake
tum is ko naqs-e-ab-o-hava kah liya karo
apne liye ab ek hi rah-e-najat hai
har zulm ko raza-e-khuda kah liya karo
le de ke ab yahi hai nishan-e-ziya ‘qatil’
jab dil jale to is ko diya kah liya karo
Leave a Reply