koi aghaz men anjam bata jaata hai
aur phir puuri kahani ka maza jaata hai
ham yahi sochte hain raste bhar phuul liye
ik mulaqat pe kya tohfa diya jaata hai
ishq jis se ho tiri raah taki jaati hai
hijr jis se ho tujhe yaad kiya jaata hai
kitne hi ranj hain shikve hain magar ye bhi hai
jis ko jaana ho use jaane diya jaata hai
hijr ka husn udasi se baḌhata huun main
achchha misra ho to phir sher kaha jaata hai
meri tanha.i men Daale hai ḳhalal chhipkiliyan
us ki tasvir pe phir dhyan chala jaata hai
Leave a Reply