• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jaga Sake Na Tere Lab Lakir Aisi Thi

Jaga Sake Na Tere Lab Lakir Aisi Thi

parveen-shakir

jaga sake na tire lab lakir aisi thi

hamare bakht ki rekha bhi ‘mir’ aisi thi

ye haath chume gae phir bhi be-gulab rahe

jo rut bhi aai khizan ki safir aisi thi

vo mere paanv ko chhune jhuka tha jis lamhe

jo mangta use deti amiir aisi thi

shahadaten mire haq men tamam jaati thiin

magar khamosh the munsif nazir aisi thi

katar ke jaal bhi sayyad ki raza ke baghair

tamam umr na udti asiir aisi thi

phir us ke baad na dekhe visal ke mausam

judaiyon ki ghadi chashm-gir aisi thi

bas ik nigah mujhe dekhta chala jaata

us aadmi ki mohabbat faqir aisi thi

rida ke saath lutere ko zad-e-rah bhi diya

tiri farakh-dili mere viir aisi thi

kabhi na chahne valon ka khun-baha manga

nigar-e-shahr-e-sukhan be-zamir aisi thi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Shab-E-Siyah Se Niklega Mahtab Koi

mushafi-ghulam-hamdani

Bacha Gar Naz Se To Usko Phir Andaz Se Mara

poet

Tumhaari Chashm Ne Mujh Sa Na Paya

agha-shayar-qazalbash

Giri Gir Kar Uthi Palti To Jo Kuchh Tha Utha Lai

Nazren haTin Zara Si Ki Sohbat bigaD Gai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet