• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Shikayat Se Gharaz Kya Muddaa Kya

Shikayat Se Gharaz Kya Muddaa Kya

poet

shikayat se gharaz kya muddaa kya

nahin to dost dushman ka gila kya

na aaya nama-bar ghabra raha huun

nahin maalum kya guzri hua kya

bahut achchhi nihayat khuub guzri

aji afat-zadon ka puchhna kya

na do mujh ko mubarakbad be-sud

buri taqdir valon ka bhala kya

ye kyuun chitvan phiri kyuun aankh badli

bhala main ne qusur aisa kiya kya

kab us kuche men thahregi miri khaak

na hoga koi ehsan-e-hava kya

umiid us se ghalat samjha ye o dil

sitamgar se tamanna-e-vafa kya

badha kar haath len un ko ye mushkil

nasib aise mubarak phir dua kya

na ghabrao aji karvat na badlo

irade hain abhi khatir men kya kya

ye kab tak parsai ashiqon se

mohabbat hai to phir ham se haya kya

jigar paani hai sadmon se lahu dil

mire siine men o zalim raha kya

kiya hota koi ehsan to zalim

karenge shukr tera ham ada kya

nahin mumkin ki tujh ko rahm aae

vo main kya aur meri iltija kya

maaz-allah gar hai naujavani

rahoge umr-bhar tum parsa kya

kahan hai dard dil men jo kaho haae

maza dega hamara majra kya

kise dekha ki bhola aap ko bhi

taajjub hai ye mujh ko ho gaya kya

‘nasim’ aao zara tum bhi suno to

ye charcha ho raha hai ja-ba-ja kya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akhtar-ansari-akbarabadi

Nazar Se Safha-e-Alam Pe Khunin dastan Likhiye

poet

Zaban-E-Shama Khulti Hai Na Kuchh Parwana Kahta Hai

Aaine Mein Pas-E-Manzar Ka Ubharna Kaisa

akhtar-ansari

Gham-Zada Hain Mubtala-e-dard Hain Nashad Hain

Bulandiyon Se Wo Be-Dagh Nur Ubhar Aae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet