
Poet
ghairon ka us taraf se guzara na ja.ega
jab tak ki ek do kahin maara na ja.ega
nargis ugegi sabze ki ja ḳhaak se miri
yaron ka marne par bhi nazara na ja.ega
ye dil hai laḌkon ka na gharaunda samajh ise
bigḌa to phir kisi se sanvara na ja.ega
ghar par raqib-e-ḳhana-bar-andaz ke ‘raza’
hoga agar tu yaar hamara na ja.ega

Leave a Reply