gar eqtidar-e-sukun eqtidar-e-vahshat hai
to phir dayar-e-mohabbat dayar-e-vahshat hai
daraz ho rahe imkan bhi ab ibadat ke
hisar-e-bandagi goya hisar-e-vahshat hai
har ek shaḳhs hai tasvir-e-kamran ḳhud men
ana ki ab-e-hava men ḳhumar-e-vahshat hai
davam pa.ega ik roz haq zamane men
ye intizar nahin intizar-e-vahshat hai
gulon men husn nahin aur chaman bhi azurda
mire qarib huvaida bahar-e-vahshat hai
abhi na puchhiye hal-e-gham-e-dil-e-‘az.har’
abhi nazar men muqaddam ghubar-e-vahshat hai
Leave a Reply