
Nasreen Naqqash
na sirf dil hi gaya dil ka mudda.a bhi gaya
vo kya ga.e kabhi milne ka silsila bhi gaya
main us ko jaane se rokun to kis tarah rokun
main sochti hi rahi aur vo chala bhi gaya
vo aur din the ki jab zindagi men sab kuchh tha
ab us ke ba.ad to jiine ka hausla bhi gaya
husul-e-zar ki havas us ko le ga.i pardes
sukun-e-dil ki vo daulat magar luTa bhi gaya
hava ka jhonka jo shaḳhon ko gudgudata tha
vo hanste phulon ko chhu kar unhen rula bhi gaya
vo shahr-e-sang men pahuncha to ho gaya patthar
ab us se milne ka pur-kaif silsila bhi gaya
koi bata.e to ‘nasrin’ ham kahan jaa.en
use bhi pa na sake haath se ḳhuda bhi gaya

Leave a Reply