nazar men dhuul faza men ghubar charon taraf
zarur phailega ab intishar charon taraf
tujhe bhi vadi-e-hu ne qubul kar hi liya
ab apne aap ko phir se pukar charon taraf
chale bhi aao kahin kuchh guman to baaqi rahe
ki Dhal rahi hai shab-e-intizar charon taraf
samajh na paaya koi dard bikhre lamhon ka
ye shaam phir se hui ashk-bar charon taraf
tu ab ki baar na bach kar nikalne pa.ega
safar men dekh tilismi hisar charon taraf
yahan bahisht se aa.i hai ek sabz pari
isi liye hai faza men nikhar charon taraf
Leave a Reply