bhadke hai dil ki atish tujh neh ki hava suun
shoala namat jala dil tujh husn-e-shoala-za suun
gul ke charagh gul ho yak baar jhad paden sab
mujh aah ki hikayat bolen agar saba suun
nikli hai jast kar kar har sang-dil suun atish
chaqmaq jab palak ki jhada hai tuun ada suun
sajda badal rakhe sar sar-ta-qadam araq ho
tujh ba-haya ke pag par aa kar hina haya suun
yaan dard hai param ka behuda sar kahe mat
ye baat sun ‘vali’ ki ja kar kaho dava suun
Leave a Reply