tire dayar men koi gham-ashna to nahin
magar vahan ke siva aur rasta to nahin
simaT ke aa ga.i duniya qarib-e-mai-ḳhana
koi batao yahi ḳhana-e-ḳhuda to nahin
labon par aaj tabassum ki mauj machli hai
koi mujhe kisi goshe se dekhta to nahin
bana len raah isi ḳhar-zar se ho kar
junun-e-shauq ka ye faisla bura to nahin
sabab ho kuchh bhi tire infi.al ka lekin
miri shikast se pahle kabhi hua to nahin
na reg-e-garm na kanTe na rahzan na ghanim
ye rasta kahin ghairon ka rasta to nahin
dayar-e-sajda men taqlid ka rivaj bhi hai
jahan jhuki hai jabin un ka naqsh-e-pa to nahin
ḳhayal-e-sahil o fikr-e-tabah-kari-e-mauj
ye sab hai phir bhi tamanna-e-naḳhuda to nahin
Leave a Reply