agar alfaz se gham ka izala ho gaya hota
haqiqat to na hoti bas dikhava ho gaya hota
agar apna samajh kar sirf ik avaz de jaate
yaqin maano ki mera dil tumhara ho gaya hota
shab-e-furqat men jitne ḳhvab bhi milne ke dekhe the
agar ta.abir milti to ujala ho gaya hota
na karte munqata.a gar tum marasim ki hasin rahen
to qasid ḳhat mira dene ravana ho gaya hota
mohabbat ki agar pakizgi par tum yaqin karte
to mil kar tum se puura sab ḳhasara ho gaya hota
miri ashuftagi par ab zamane ko ta.ajjub kyuun
agar ulfat na hoti dil siyana ho gaya hota
dil-e-furqat-zada men hai jo ik nasur muddat se
mualij gar samajh paata ifaqa ho gaya hota
jo dukh ki fasl boi hai to ab dukh kaTna hoga
mukafat-e-amal samjhe ishara ho gaya hota
ye hikmat hai ‘sabila’ ziist men rab ne kami rakkhi
vagarna har bashar ḳhud men ḳhuda sa ho gaya hota
Leave a Reply