misal-e-sail-e-bala na thahre hava na thahre
lagae jaaen hazar pahre hava na thahre
kahin kahin dhuup chhup-chhupa kar utar hi aai
dabiz badal hue ikahre hava na thahre
varaq jab ulte kitab-e-mausam dikhae kya kya
gulab aariz badan sunahre hava na thahre
vo saans umdi ki be-hison ne ghazab men aa kar
gira diye habs ke katahre hava na thahre
kabhi badan ke ruen ruen men havas ubhrin
kabhi kare gosh hosh bahre hava na thahre
usi ki raftar-e-pa se ubhren nuqush-e-rangin
kahin pe halke kahin pe gahre hava na thahre
sada-e-har-su falak ke gumbad men gunjti hai
hava na thahre hava na thahre hava na thahre
Leave a Reply